Best Quotes in Urdu & Aqwal-e-Zareen

Best selected Quotes in Urdu for your inspiration. If you like these quotes in Urdu then please consider sharing them with your friends and family members

Best Quotes in Urdu

Quotes in Urdu

Kisi ne kaha wo shakhs jo aa raha hy aap ko galian de raha hy, farmaya agar is mein us ka kuch faida hy to manah nah krna chaye.
Jawab dene mein jaldi na kr, ta-ke aakhir mein khafat-o-sharmindagi na uthani pare or bardasht se kaam le.
Poocha gya ke khane peen eke waste kon sa waqat behtar hy, farmaya jin logon ko ye dastras or asbab mohaya hein un ko jub bhook lage, or jin logon ko ye hasil nahi un ko jis waqat bhi mil jae.
Talwar, top or bandooq se is qadar khalqat nahi murti jitni ke busyar khori se murti hy. ~Bu Ali Seena

Quotes in Urdu

Jub tuk tum bhook se be-taab nah ho jao us waqat tk kabhi nah khao. ~Buqrat
Beghair bhook ke ghiza nah khaein or jub bhook tez ho jae to bhooke na rahein. ~Bu Ali Sina
Jo apne gunahon pr naadimho kr Allah Talah ke khof se aansoo baha de Allah Talah us ko zaroor maa’f kr deta hy.

Urdu Quotes

Aye insaan! Agar aansoo baha lene se teri nijaat ho sakti hy to Allah Talah ke hazoor sache dil ke saath aansoo baha le.
Bewakoof ke kanon mein batein mut daal kyun-ke bajae amal ke wo tere danishmandana klaam ki tehqeer kre ga.
Jo aik bewakoof ke hathon pegham bhejta hy apne paon aap kat-ta hy.

Quotes in Urdu

Bewakoof ko uski hamaqat ki manind jawab mut de aisa na ho ke tu bi us ki mannind ho jae.
Bewakoof ki aqal us ki zuban ke peeche hy or aqalmand ki zuban us ki aqal ke peeche hoti hy. ~Hazrat Ali (R.A)
Hamaqat or bewakoofi ke asar or nateejon se insane ko panah dene ka akhri nateejah goya dunya ke bewakoofon se bhar dena hy.
Kitabon ki se’r mein hum danaon se hum kalam hote hein or karobari zindagi mein humein bewakoofi se wasta parta hy.
Parha likha bewakoof apni bewakoofi ko khubsoorat alfaz ka jamah pehna deta hy lekin phir bi wo bewakoofi hi rehti hy.
Paani se aag bujh jati hy, chatri se dhoop ruk jati hy, lakri se doosre janwar qabu aa sakte hein, hr bemari ke liye aik dwa hy lekin bewakoofon ki bewakoofi kisi tarah bhi door nahi ho sakti.
Jo shakhs musibat ka bojh khush asloobi se utha sakta hy wohi sub se behtar kaam kr sakta hy.
Be-insaafi bardasht krne se khud be-insafi krna zyada acha hy. ~ Arstoo.
Jo musibat dost ki janib se nazil ho us ko sabar ke sath bardasht kia jae. ~Khawaja Qutub-u-Din

Friendship Quotes in Urdu

* Jo shakhs tumara ghusa bardasht kre or sabat qadam rahe wo tumhara sacha dost hy.
* Jahan izat schai or khaloos nazar aye wahan dosti ka hath barhao warna tumhari tanhai tumhari behtreen sathi hy.
* Jo zra si baat pr dost na rahe wo dost tha hi nahi.
* Jis ko aise dost ki talash ho jis mein koi khami na ho ise kabhi bi dost nai milta.
* Boore doston se bacho aisa na ho ke wo tumhara taruf bun jaein.
* Sachi mohabat aik nayab cheez hy lekin sachi dosti is se bi zyada nayab.
* Dost ko dolat ki nigah se mut dekho, wafa krne wale dost aksar ghareeb hi hote hein.
* Kamyabi hoslon se milti hy or hosle doston se milte hein, dost muqadron se milte hein or muqadar insaan khud bnata hy.
* Lakhon ko dost bnana koi bari baat nai, bari baat ye hy ke koi aisa dost bna lo jo tumhara us waqat de jub lakhon tumhare mukhalif hon.
* Jub aap arooj per hote hein to aap ke doston ka pta chalta hy ke aap kon hein or jub aap zawal pr hote hein to aap ko pta chalta hy ke dost kon hy.

Life Quotes in Urdu

* Mot se mut dro. mot hi asal zindagi hy.
* Wo ilm bekar hy jo insaan ko kaam krna to sikha de lekin zindagi guzarne ka saleeqa na sikhae.
* Zindagi jub tuk nek kamon ka zaria na ho shaista nahi ki ja sakti. ~Aflatoon

Urdu Quotes

* Kisi ne poocha flan shakhs ki mot ka baes kya hua? hakeem ne kaha us ki zindagi. ~Aflatoon
* Teen cheezon ki dosti muzir hy, nafs, zindagi or maal.
* Zindagi dukhon se bhari pari hy, agar an se chutkara chaye to gyan mein dil lgao. ~Gotam Budh
* Ehetmad hi zindagi ki mutharak quat hy.
* Zindagi ka asal maqsad Khudai hakoomat ka qyam hy. Ye sirf deanat or schai ikhtiar krne se hasil hoti hy.

Mother Quotes in Urdu

* Kitna bud-qismat hy wo jo maa ke hote hue iski mohabat hasil na ker sake.
* Jis ke dil mein maa ke liye mohabat hy wo zindagi ke kisi morh per shikast nai kha sakta.
* Is kainaat mein maa wo wahid hasti hy ji ki doa apne bachon ke haq mein jald qabool ho jati hy. ~Aflatoon
* Aurat maa ke roop mein apne bachon ki ghaltion, kamzorion or kotahion ki intahai razdaari ke sath parda-poshi krti hy.
* Wo hasti jis ne hamein zinda rehne or azadi se zindagi guzarne ka sabaq diya ho hamari maa hy. ~Maulana Shokat Ali
* Jo maa ki khidmat mohabat ke sath krta hy us ko ye yaqeen kr lena chaye k is ke ser per her waqat maa ki duaon ka saya mojood rehta hy jo ise her muskil se bcha leta hy.
* Maa ko kabhi na stao, dunya ka sub se barha gunah yei hy. ~Feesa Ghoras

٭ آپ مجھے اچھی مائیں دیں میں آپ کو اچھی قوم دوں گا۔ (ہٹلر)

٭میری محفوظ ترین پنا ہ گاہ میری ماں کی آغوش ہے ( ابن جوزی)

٭ دنیا میں ماں سے زیادہ ہمدرد ہستی کوئی ہے ہی نہیں۔ (خلیل جبران)

٭ جس کی ماں مر جائے وہ اس کائنات کا مفلس ترین آدمی ہے۔ (گوئٹے)

٭ اگر میری ماں مجھ سے جدا کر دی جائے تو میں پاگل ہو جائوں (فردوسی)

Business Quotes in Urdu

٭ ایک چیز کی بلاوجہ تعریف کر کے اسکو وقتی طور پر مشہور تو کیا جا سکتا ہے لیکن اسکی بنیاد پر ٹھوس کاروبار نہیں کیا جا سکتا۔

٭ آپکے کاروبار سے ناراض کسٹمر آپکے لیے سیکھنے کا سب سے بڑا ذریعہ بن سکتے ہیں۔

٭ لوگ اچھے کاروبار اور کسٹمر سروس کو اپنا بٹوہ کھول کر شاباش دیتے ہیں۔

٭ کامیاب کاروبار کے لیے آپکو اپنے دل کو کاروبار میں رکھنا ہے اور اپنے کاروبار کو اپنے دل کے قریب۔

٭ کامیاب بزنس مین وہی ہے جو یہ سمجھ سکے کہ موقع اور رکاوٹ میں معمولی سا فرق ہوتا ہے، اور ان دونوں کو اپنے فائدے کے لیے استعمال کرنے کا فن جانتا ہو۔

٭ کاروبار میں اگر بھاگتے رہیں گے تو آپ سے مقابلہ کرنے والے آپکو صرف کاٹ سکیں گے لیکن اگر آپ رُک کر کھڑے ہو گئے تو وہ آپکو نگل جائیں گے۔

٭ کامیاب بزنس مین وہی ہے جو یہ سوچے کہ وہ اپنے کسٹمر کو ایک روپے میں کتنا زیادہ دے سکتا ہے بجائے اسکے کے وہ ایک روپے میں سے کتنا کما سکتا ہے۔

٭ وہی کاروبار زیادہ کامیاب ہوتے ہیں جن میں کسٹمر کو یہ یقین آ جائے کہ جو چیز اسکو چاہیئے وہ صرف آپ ہی سے ملے گی۔

Happiness Quotes in Urdu

* Apna ghum dushmano se na kaho is liye ke wo khush hote hue lahol parhein ge.--Sheikh Saadi
* Jo shaks apni tareef pr khush hota hy or khushamad pasand krta hy wo awal darje ka ahemaq hy. --Sheikh Saadi
* Tumhari khushi dur-asak tumhara ghum hy jise be-niqab kia gya hy.
* Logon ke dilon mein khushi ka kanwal khilana hazaron ziadition se afzal hy. --Gotham Budh
* Khush tamam aala khubion ki maa hy.
* Jub jeb kheratg kr ke khali ho jati hy to dil khushi or musarat se bhar jata hy.
* Khuda ka pyara wo hy jo kisi ko takleef na de, khushi or ghum mein yaksan rahe. --Kirshan Chandar Ji
* Apni khushi ko doosron ki khushi pr muqadam rakhna or doosron ke jazbat se bilkul be-parwa ho jana khud gharzi ki mukamal tashreeh hy.

Woman Quotes in Urdu

* Jo qomein aurat ko ghulam bna kr rakhti hein wo jald tbah ho jati hein.
* Aurat wo azeem shahkar hy jis ki dastaan-e-azmat tareekh ke seene per tehreer hy.
* Dunya or dunya ki tmam nehmatein achi or khoobsurat hein lekin in se zyada khubsoorat aik nek or parhez gar aurat hy.
* Aurat ki hikmat ghar ko abad rakhti hy.
* Budmashon or razeelon se bi mohabat krne wali hasti Khuda ke badh aurat hy.
* Kya mein tumein aise khazane se mutlah na kru jo sub se acha hy. sun lo wo nek aurat hy. ~ Hadees-e- Nabvi
* Aurat agarche shur or khrabi hy magar is se barh ker kharabi ye hy ke aurat ke beghair guzara bi nai ho sakta. ~Hazrat Ali (RA)

About Urdu Quotes

Aqwal-e-Zareen are quotes in Urdu that are the sayings and wisdom words of famous religious people, philosophers, leaders and politicians. There sayings are given importance because they are considered as more learned and wiser than common people. The people whose mother tongue is Urdu finds it easier to understand the Aqwal-e-Zareen or Urdu quotes because they are more use to the language so understanding the meanings and lessons of the quotes is much easier.

Aqwal-e-Zareen of course give you a wise thought about a subject or topic in the words of wise people of their time. People get lot of motivation, inspiration and encouragement by reading quotes in Urdu on their favorite topics. It is also the habit of several successful people to read Urdu Quotes before going to work because this keeps them motivated and inspired through out the day.

In addition to this Aqwal-e-Zareen also makes your conversation impressive as you quote some wiser people while talking. Since the wise and famous people are un-disputed so nobody turn down their words and happily accept whatever they say. So if you want to make your conversation impressive and convincing then quotes in Urdu can benefit you a lot. For this purpose you have to read and remember some good quotes in Urdu about the particular topic on which you have to carryout discussion.

We have gathered some best quotes in Urdu for your motivation and inspiration so that you can learn from the wisdom of famous people. These quotations in Urdu are the sayings of the wise people of their times and are all well respected and people wish to listen them about different topics. To lead a wise life one should always remember the beautiful quotes in Urdu so that one can use them while talking to others.

Benefits of Reading Quotes in Urdu

There are lot of benefits of reading quotes in Urdu, some of them are:

  • They will keep you mitvated and inspired in your life.
  • You will become much wiser on the subject you read quotes in Urdu about.
  • Your conversation will become much more impressive and people will like your style if you use Urdu quatations while talking.
  • A vast knowledge of best quotes in Urdu will improve your confidence level to.
  • There are number of other benefits also of reading best quotes in urdu, but I enumerated just a few of them.

    Share Quotes in Urdu